Namsakr dosto ek behtar job pana har kisi ka maksad hota hai or eske liye ham kafi mehant bhi krte hai lekin es doran hamare dwara ki hui choti choti galtiyo ke karn hame job nhi mil pati hai. Kafi bar Interview me hamare dwara sabhi sawalo ke jabab dene ke bad bhi hame job ke liye reject kar diya jata hai aisa kyu hota hai ? Interview ke doran hamare sawalo ke sath sath hamare bolne ka style, hamara behavior, hamara attitude jaise bhut si bato par dhyan diya jata hai. Interview me agr ham sabhi sawalo ka jabab na de paye lekin agr ham interview lene wale vyakti ko apni bato se santust kr de to hame jarur job mil skti hai. Aaiye janate hai 7 Most Common Interview Mistakes in Hindi yani ki Interview ke doran hone wali 7 badi galtiya.
7 Most Common Interview Mistakes In Hindi
Table of Contents
(Interview Ke Doran Hone Wali 7 Badi Galti)
1. Wrong Dressing ( Galat Phanawa )
Mujhe ache se yaad hai jab mai mera phla interview dene gya tha tab mai ek simple si T-shirt or pent phan ke gya tha or maine interview ko jyada seriously bhi nhi liya tha. Us time interview lene wali madam ne interview ke baad mujhe shi kha tha ki aage se khi bhi interview ke liye jao to vha par formal pent-shirt jo jyada fashionable or modern na ho vhi phan kar jana. Interview ke doran hamari dressing sense bhut maine rkhti hai dosto kyuki hamari dressing sense hamare bare me bhut kuch khti hai. Es liye jab bhi aap interview ke liye jaye tab achi dressing yani phnava hona chahiye or interview seriously hokar hi dene jaye.
2. Khud ko Jyada Smart Samjhan Ya fir Confidence Ki Kami Hona :
Bhut se log maine aise dekhe hai jo kisi company me noukari krte samay jab vo kisi dusari company me interview ke liye jate hai to vo ye samajhte hai ki unhe bhut kuch aata hai. Ye hamara ghamand hota hai jisse ham apne aap ko baad aadmi samjhne lagte hai. Es vajh se ham interview lene wale vyakti ko ye show krte hai ki hame es job ki koi jyada jarurat nhi hai.
Dusri taraf Khuch log aaise hote hai jinme confidence ki kami hoti hai or vo interview ke doran puche jane wale swalo ka jabab shi se nhi de pate. Interview ke doran hame bilkul bhi nhi ghabrana chahiye or interview lene wale vyakti ki ankho me ankhe dal kar bate krni chahiye. Jyada se jyada kya hoga kisi sawal ka galt jabab hi diya jayegana koi bat nhi hai use ham ek acha reason dekar shi bhi kr skte hai.
3. Job Krne Ke Liye Sahi Reason Na Dena ( Ye Show Na Kar Pana Ki Aap Hi Es Job Ke Liye Acha Vikalp Ho )
Har interview me ye sawal jarur pucha jata hai ki aap ye job kyu krna chahte ho ? Aap dusri company chod kar es company me kyu aana chahte ho ? Es doran bhut se logo khte hai ki Apki company me jyada salary di jar hi hai es liye, Mujhe bas koi bhi noukari mil jaye mai karne ke liye teyar hu. Es tarah ke jabab dene se ham interview lene vale vyakti par koi khas parvhav nhi chod pate. Es doran ham aisa koi bhi acha reason nhi de pate jisse unhe lage ki yah banda hamare liye bhut jaruri hai. Es liye hamesa Interview ke doran Job krne ke liye ek acha or parvhavit krne wala reason hi de.
4. Interview Ke Liye Phle Se Teyari Na Krna :
Bhut se log Interview bina kisi teyari ke hi dene chale jate hai. Hame Interview dene se phle us company ke bare me puri basic jankari le leni chahiye. Hame apne Resume or CV ko ache se dekha chahiye ki hamne esme kitne saal ka anubhav likha hai, Objective me kya likha hai, Education or Technical Qualification kya kya likhi hai, Hamari hobby kya hai? Interview ke doran hame kin kin bato ka kya kya jawab dena hai eske bare me bhi hame phle se hi sochna lena chahiye.
5. Ache Sawal Na Karna :
Kafi log interview ke doran puchate hai ki kya unhe alag se cabin milega ? Apke yha kitni lady worker kam krti hai ? Meri salary kitne deno me badhegi ? Kya koi or job bhi hai yha ? Ye company kya kam krti hai ? Hame interview ke doran es tarah ke betuke sawal nhi krne chahiye. Inke bare me ham bad me vha ke kis employ se puch skte hai.
6. Negative Body Language :
Jaydatar log interview ke doran apni body language kar dhyan nhi dete hai. Jaise ki hamne es post ki suruat me btaya Interview ke doran hamare sawalo ke sath sath hamare bolne ka style, hamara behavior, hamara attitude jaise bhut se bato par dhyan diya jata hai. Jyada hansna, jyada bate krna, Dusri company ki burai karna jaise bate hamare liye hanikark sabit ho skti hai.
Interview lene wale ki table par dono hath rakh kr bate krna, Baithe huye pair hilana, Bar bar mobile check krna, Upar niche dekhna jaise harkto se hame bachna chahiye kyuki ye hamare bare me bhut kuch khti hai.
7. Apni Phle Wali Company Ki Burai Karna :
Interview me jab puch jata hai apne company me job kyu chodi to bhut se log khte hai ki Mujhe us company me achi salary nhi mil rhi thi, Vha ka boss bhut khrab tha, Unke kaam krne ka dhang mujhe pasand nhi tha, Vha pe jyada kam krna padta tha. Apni company ke bare me es tarah ke jabab dekar aap khud ki kamiya dekha rhe hai. Apko khana chahiye ki mai mujhe meri phle wali company sukargujar hu jisne mujhe bhut kuch sikhaya lekin ab mai apki honhar company me aakar or bhi acha kam sikhna chahta or apni puri mehant, lagan or apke shagoy se nai kucha naya or acha krna chahta hu. Aaisa jabab dene se interview lena wala apse bhut parbhavit hoga.
Must Read
- महिलाओं के सामाजिक अधिकार : 14 Important Women Rights in India
- 18, 20 और 25 के बाद हाइट कैसे बढ़ाएं? लंबाई बढ़ाने के 11 सबसे आसान उपाय
- All Traffic Rules and Fines in Hindi 2019
- Online Jobs For Womens l Blog Writing Jobs From Home l ऑनलाइन घर बैठे पैसे कैसे कमाए
- Online Advertising Kya Hai ? Advertisement In Hindi
- How To Become Rich In India Fast | अमीर कैसे बने ?
- How To Success In Business In Hindi l बिज़नस गाइड इन हिंदी
- होम लोन क्या है ? होम लोन कैसे ले ? होम लोन इंटरेस्ट रेट ? होम लोन के बारे में पूरी जानकारी ?
- रिज्यूम में होने वाली 10 सामान्य गलतियाँ जो हमें मुर्ख साबित करती है
- इंटरव्यू में पूछे जाने वाले सवाल और उनका सही जवाब
- 7 Most Common Interview Mistakes In Hindi
- सरकारी नौकरी पाने का मंत्र क्या है ? सरकारी नौकरी पाने का तरीका क्या है ?
- Bike Car Theft Insurance Claim In India l Car चोरी होने पर Claim कैसे लें ?
- कंपनी से सैलरी न मिले तो क्या करें ? नौकरी के दौरान रुके हुए पैसे कैसे निकलवाए ?
- Facebook Like Badhaye Ke Liye Auto Liker Shi Ya Galt ?
Image Source : Featured Image , 2nd Image
दोस्तों आपको हमारी ये पोस्ट ” 7 Most Common Interview Mistakes in Hindi ” कैसी लगी हमें जरुर बताये व ज्यादा से ज्यादा लोगो की सहायता करने के लिए इस आर्टिकल को फेसबुक पर शेयर करे.
Nice knollage
mujhe yaha jankari bahut hi aachha laga
Ye 7 most common…………………
Bahut hi achha laga
also thank you sir
apka blog kaafi achaa hai aapki earning ka tarika kya hai.. Mera name Robin Singh hai Blogging Adda admin jisme aap group ke member the yaad hai aapko…(hinglishmeblog.com)
thanks
hanji yaad mujhe mai apke group me add hu
mera earning source abhi kuch nhi hai adsence approve nhi hua abhi tak 1 mahina ho gya apply kiye hua