How To Get Nrega Work Information In Hindi ?
Gav Me Chalne Wale NREGA Ke Kam Ki Puri Jankari Kaise Le ?
Table of Contents
Namskar dosto , Gav ke bhut se log NREGA yani Mahatma Gandhi National Rural Employment Gurantee Act ke that kam karte hai. 2005 se NREGA, Bhart sarkar dwara sabhi logo ko Granted Rojgar dene ke liye ek bhut hi achi skim hi dosto. Lekin hamare India me sabse badi dikkat hai Sarkari kam me hone wale Ghotale. Jaisa ki apko pta hai NREGA me bhi bhut se ase log rupye le rhe hai jo kbhi Nrega me kam pe jate hi nhi hai or bhut si grampanchayto ke dwara frod Job card bhi bnaye hua hai. Garibo ke hak ka paisa ghar baithe hua bhut se log le rhe hai. Ham ye kaise pta kar skte hai ki Nrega me kin kin logo ne kam kiya hai ? Kin Kin Logo ke ford job card bane hua hai ? Hamare gav me kitne din kam chala hai ? Vo kon se log hai jo bina kam kiye hua bhi Nrega se rupye le rhe hai ? Sidhi si bat hai How To Get Nrega Work Information In Hindi ? Gav Me Chalne Wale NREGA Ke Kam Ki Puri Jankari Kaise Le ? Agr aap in sabhi sawalo ke jawab janna chahte ho to ye post apke liye bhut jaruri hai.
How To Get Nrega Work Information In Hindi ?
Gav Me Chalne Wale NREGA Ke Kam Ki Puri Jankari Kaise Le ?
Dosto Nrega ke doran chale wale kam ki puri jankari pane ke liye aap 2 tarike apna skte ho. Ek tarika to ye hai ki aap RTI lga kr eske bare me puri jankari hasil kr skte ho lekin esme 10 se 15 din ka time lg skta hai. Dusra tarika hai aap online Nrega ki official site par jakar aasani se kuch hi minto me Narega ke bare me puri jankari le skte hai. Ham apko yha par nrega ki jankri ke liye online tarike ke bare me btayege.
How To Get Nrega Work Information In Hindi ? Step by Step
How to get full information of Nrega Work in Our Village in Hindi
- Dosto Nrega ke bare me online jankri lena bhut hi asan or fast hai. Eske liye sabse phle aap google me Nrega search kare ya fir siddha nrega.nic.in type krke Nrega ki official site khole.
- Nrega ki official site khulne ke baad aap esme dikhayi dene wale Social Audit option par click kare
- Social Audit kar click karne par apko niche di huyi screen dikhayi degi.
Es page par apko 5 option dikhayi denge. Jinme apko “ Generate Social Audit Gram Sabha Report ” pe click krna hai. Eske alva upar or niche diye hua option Gram Sabha me lage hua Mate ke liye hai jo apka data time to time update vagera kar ske.
- “ Generate Social Audit Gram Sabha Report ” pe click karne ke bad apko ye niche di huyi screen dikhayi degi jisme apko apna state select krna hai.
- Ham yah pe hamare Behbalpur gav ka hi example lekar chalet hai jo Haryana ke hisar jile me hai.
Haryana state pe click krne par apko ye screen dikhayi degi.
Esme diye hua sabhi option ko hame select krna hai or get report pe click krna hai.
Note : Kafi bar ye invalid From date or To date dikha skta hai tab aap dobara se kuch din age piche krke serach kare.
- Get report pe click krne par apko ye screen dikhayi degi.
Ab open hua es page ke dwara aap apni garm sabha or panchayat me chale hua Nrega ke kam ki puri jakari le skte ho.
Form 1 : Esme apko panchayat me kya kya ham hua hai or kab hua hai eski jankari milegi.
Form 2 A : Panchayat dwara abhi tak pure complete hua kam ki jankri apko yah es form pe milegi.
Form 2 B : Es form pe apko kaam ke doran hua kaharch ki jankari milegi.
Form 3 : Esme apko ye jankri di jaygi ki abhi tak apke acoount me kitni din ki payment dali di gyi hai or payment kab dali gyi hai. Yah par apko apke kam ki puri jankri nhi milegi yani ki agr apne 22 din kam kiya hai to ho skta abhi apke acoount keval 8 din ki hi payment dali hui ho. Apke dwara total kiye hua kam ki jankari form no. 5 wall paint me milegi.
Form 4 : Es form pe apko vo jankri milegi jaise kisi SC/ST vayakti ne Kaam ke liye demand ki ho or use kitne din kam mila ya nhi mila.
Form 5 : Esme apko ye jankari di jaygi ki apke parivar ke logo ne es section yani 2015-2016 ki sal me total kitne din kam kiya hai or apki total payment kitni banti hai. Apna nam dekhne ke liye computer me ctrl+f dba kr apna name typ kre or mobile me pdf reader me search option me jakar apna name search kre.
Download All Report : Esme apko apni garam sabha me Nrega me chalne wali kam ka pura data mil jayga lekin esme aap Puzzal ho skte hai.
- Example Form No.3
Dosto jaisa ki upar di hui photo me dikhaya gya hai ki am ham Nrega me chalne wale kam ki puri jakari le skte hai. Jiase ki Job card No. , Bank Account No., Name of Worker , Father/ Husband Name , Work Type, Muster Roll No., No. of work days & Work payment.
To dosto es tarah se aap aasani se apni garam sabha me Nrega dwara chalne wale kam ki puri janakari aasani se le skte hai. Apko hamari ye jankari How To Get Nrega Work Information In Hindi ? kaisi lagi hame jarur bataye or agr aap bhi dusre logo ki help krna chahte hai or logo ko Nrega ke bare me btana chahte hai to es Post ko apne social page par jyada se jyada share kare.
Must Read
- Bhawan Evam Sannirman Karmkar Kalyan Board Kya Hai ?
- Sadi Me In 7 Tariko Se Bachaye Apne Rupye
- RTI Kya Hai ? Iske Bare Me Puri Jankari
- Vo Important Document Jo Apki Email Id Par Hone Jaruri Hai
- Kisi Post Ko Like, Comment Or Share Kyu Kare ?
नरेगा में चलने वाले कम की पूरी जानकारी कैसे ले ? इसकी विडियो यहा देखे
[wpdevart_youtube]0hAMGJhmWA4[/wpdevart_youtube]
मनरेगा से संबंधित आपकी यह पोस्ट बहुत अच्छी है। काश यह पोस्ट उस स्तर पर जाकर उन मजदूरों का भी भला कर पाती। जो इसके तहत काम करते हैं। पर अफसोस उन मजदूरों का इंटरनेट की दुनिया से दूर दूर तक वास्ता नहीं है। पर हां समाजसेवियों के हित में है आपकी पोस्ट जो मनरेगा मजदूरों के हितों को लेकर भी काम करते हैं।
जमशेद जी अपने सही कहा है लेकिन फिर भी हमारे देश में काफी पढ़े लिखे हुए लोग भी है जो internet चलाना जानते है लेकिन बेरोजगारी होने की वजह से नरेगा में काम करते है. एक और दूसरी बात नरेगा में काम करने वाले अधिकारी लोगो इस पोस्ट को देख कर थोडा सचेत जरुर होंगे