Dosto aaj ke time me hamri ek samsya ye bhi hai ki ham apne document sambhal ke nhi rkh skte or hamse jald hi gum ho jate hai. Or ek bar koi document gum ho jata hai to hame bhut jyada paresani ka samna krna padta hai. Es post me ham apko batayege vo impotant document jo apki email id par hone jaruri hai. Dosto aap apni email id par apne kuch jaruri document dal kr bhut si paresaniyo se bach skte hai.
Kyo Jaruri Hai Ye Email Id Pr Hone Jaruri
Dosto important document apni email id par dalna hamare liye bhut hi faydemand sabit ho skta hai. Agr koi document gum ho jata hai to ham kabhi bhi aasani se computer shop se kisi bhi document ki colored or black & white copy le skte hai. Dusra fayda iska ye hai ki agr ham khi gye hua ho apne ghr se dur kisi jagh pr or us time hame apne kisi document ki jarurt pad jaye to bhi ham apni email id se koi bhi document asani se le skte hai.
Vo Impotant Document Jo Apki Email id Par Hone Jaruri Hai
Table of Contents
Aadhar card, Voter card, Driving licenses, Rasan card, Passport size photo, Resume, Qualification Certificate, DOB proof, Residence certificate, Cast certificate, Pan card, ATM, Bank pass book, Experience certificate, Achievement certificate.
Dosto upper bataye hua ye vo documents hai jo ki har ek vyakti ki email id pr hone jaruri hai.
Kaise Dale Email Id Par Document
Es kam ke liye aap kisi bhi computer shop pr ja kr apne sare document printer se scan krva le or fir apni mobile chip ya fir pen drive me ye sab dalwa le. Es baat ka jarur dhyan rkhe ki sabhi document original hi scan krvaye. Kyoki koi bhi document ke gum hone pr aap inki colored copy aasan se niklwa ske. Ye sabhi documents pen drive ya mobile chip me dalwane ke baad computer ya mobile se apni email id khole or usme compose mail pr clik kre. Compose mail krne ke baad ye sabhi attach kr le or subject me “ my all document ” dale or fir To ki jagh apni hi mail id ka address dal de taki ye mail vaapis apke paas hi aa jaye. Fir bhavisy me agr apko kisi bhi document ki jarurat ho to apni email id khole or usme “ my all document” ke name se search kare. Kuch hi second me ye sabhi document apke samne aa jayge.
Note : 1. Document scan krne ke baad me hare ek document ko rename kre or usme shi name feed kare jaise rasan card, voter card, 10th class marksheet.
2. Jab bhi aap apni mail id khi pr khole to use logout jarur kr de nhi to koi apke document or apki mail id ka galt fayda utha skta hai.
Apko hamari ye jankari vo impotant document jo apki email id par hone jaruri hai kaisi lagi hame comments ke dwara jarur btaye.
Also Read :
- महिलाओं के सामाजिक अधिकार : 14 Important Women Rights in India
- 18, 20 और 25 के बाद हाइट कैसे बढ़ाएं? लंबाई बढ़ाने के 11 सबसे आसान उपाय
- All Traffic Rules and Fines in Hindi 2019
- Online Jobs For Womens l Blog Writing Jobs From Home l ऑनलाइन घर बैठे पैसे कैसे कमाए
- Online Advertising Kya Hai ? Advertisement In Hindi
- How To Become Rich In India Fast | अमीर कैसे बने ?
- How To Success In Business In Hindi l बिज़नस गाइड इन हिंदी
- होम लोन क्या है ? होम लोन कैसे ले ? होम लोन इंटरेस्ट रेट ? होम लोन के बारे में पूरी जानकारी ?
- रिज्यूम में होने वाली 10 सामान्य गलतियाँ जो हमें मुर्ख साबित करती है
- इंटरव्यू में पूछे जाने वाले सवाल और उनका सही जवाब
- 7 Most Common Interview Mistakes In Hindi
- सरकारी नौकरी पाने का मंत्र क्या है ? सरकारी नौकरी पाने का तरीका क्या है ?
- Bike Car Theft Insurance Claim In India l Car चोरी होने पर Claim कैसे लें ?
- कंपनी से सैलरी न मिले तो क्या करें ? नौकरी के दौरान रुके हुए पैसे कैसे निकलवाए ?
- Facebook Like Badhaye Ke Liye Auto Liker Shi Ya Galt ?
दोस्तो एक पोस्ट को तैयार करने मे काफ़ी मेहनत करनी पड़ती है. आपका एक कॉमेंट और एक लाइक हमे आपको और भी नयी जानकारी देने मे काफ़ी प्रोत्सहित करता है.
Meena Ramkumar meena
hello aapki ye jankari bahut achi lagi
also thank you
Thanks a lot . you solved my problem
also thank you sir
sir apki wtsup no chaie mujhe pls
thank you so much brother you solved my problem
thanks
Thanks bhut acha kam kr rhe ho god bless u
shi kha sir ji apne