Namskar dosto bhut bar ham jane anjane me kisi ke dwara likha hua koi Lekh, Article, Story, Poem , Song , Software, Photo etiyadi bina uske malik ki anumati ke usse apni kisi book ya blog par parkasit kar dete hai joki aage chal kar hamare liye bhut badi presani ka karn ban skta hai. Aap bhi apni kisi book ya blog par asi galti karne se pahle What Is Copyright Act ? In Hindi ke bare me ache se jan le to behatar hoga. Vase to Indain copyright act, 1957 ke bare me bhut si jankari hai jo 3 se 4 post me aaygi lekin ham apko yha par copyright Ke bare me vo important jankari denge jo hamare liye janna jaruri hai. What is copyrightAct ? In Hindi
What is Copyright Act ? In Hindi
Table of Contents
Copyright act ka siddha sa matlab ye hota hai ki kisi bhi Kla se sambndhit, Sangeet se sambandhit, Sahitay se sambndhit, Kisi Computer or Other Technology se sambandhit, Kisi nayi khoj se sambandhit, kisi bhi tarah ke naye Rachnatamak karay se sambndhit kisi bhi Article, Story, Poem , Song , Software, Photo, etiyadi ko usse banana wale asli malik ki ejjajat ke bager, malik ko credit (श्रेय) diye bager, Malik ka apni book ya blog me jikar kiye bager ya fir Malik ke dwara apni rachan ko parkashit krne ke liye manahi karne par bhi koi unki kisi rachna ya kisi anay chiz ko parkashit karta hai to parkashit karne wale par Copyright Act lagu hota hai.
How to Register Our Copy or Other Product In Copyright Act
( Apni Kisi Rachna Ya Anay Sahitay or Product Ka Registration Kaise Karwaye ? )
Dosto jab bhi koi vyakti apni kisi rachana ke copy hone ki sikayat daraj karvata hai to court usse sabse phle to ye khati hai ki yah rachan or product apka hai es bat ka proof kya hai ? Agr es doran hamare pas apni Rachana or product ka hamare dwara bnane ka koi proof nhi hai to copy karne wale vyakti par mukdma darj nhi kar skte.
Vase to Indian Copyright Act, 1957 ke sansodhan ke tahat kha gya hai ki “ Lekhak ke apne kii karay (work) ko panjikart kravane ki koi jarurat nhi hai, yah adhikar Lekhak ko uska karay pura hote hi apne aap hi mil jata hai ”.
Lekin fir bhi ham apni Copy registration kravane ke liye do tarike apna skte hai .
- Sabse pahle to agr apne apna khud ka koi bhi blog, book ya fir koi anay product bagera teyar kiya hai to aap us blog, book or product par Copyright © ka logo j
arur lagaye or Sath me copyright ka ek alg se page bhi banaye. Copyright page me apn blog or book me di jane
wali sabhi information ke Rachanakaro ka parichay de or koi apni racha ko copy na kare eski page par chetavni de. Aisa karne se ye apke liye proof ke roop me kam aaiyega .
- Dusra tarika agr aap sochate ho ki apki rachna or other product apke liye bhut hi jyada important hai or aap ese bilkul bhi copy na ho to aap eske liye niche diye hua address par registration karva skte ho.
Copyright Registration Office In India
Ministry of Human Resource Development 4th Floor, Jeevan Deep Building Parliament Street New Delhi : 110001 |
Email Address: copyright@nic.in
Office Telephone No.: 91-11-23362436
What We Do If Any Copy Our Blog Content
( Agr koi apne blog ka matter copy kar le to kya kare )
Ham kafi mehant kar ke kuch chiz teyar karne ki kosis karte hai lekin jab koi hamare es teyar kiye hua content ko chura leta hai or uska pura credit kisi dusre vyakti ko jata hai to hame kafi dukh hota hai. Agr hamara koi matter yani article ya story vagera kisi ne chura li hai to Ham us par kanooni karywahi kar skte hai or sath me ham uske blog or book ko bilkul band karwa skte hai. Agr hamara koi likhit sahitay ya fir koi other product hai to jo address hamne upar bateye hai un address par ham apni sikayat kar skte hai. Dursa agr koi hamari site or blog se koi matter chori kar ke apne blog par dalta hai to ham eski sikayat Internet par paryog hone wale Search Engine ko bhej skta hai.
Address of Search Engine for Complain about Copyright
Google Search Engine
Google, Inc.
Att. Google Legal Support,
DMCA Complaints
1600, Amphitheatre Parkway
Mountain View, CA 94043
Fax : (650) 618-2680,
Attn: DMCA Complaints
Google DMCA:
https://support.google.com/legal/answer/3110420?hl=en
Yahoo Search Engine
Copyright Agent
c/o Yahoo! Inc.
701 First Avenue
Sunnyvale, CA 94089
Phone: (408) 349-5080
Fax: (408) 349-7821
Email*: copyright@yahoo-inc.com
https://policies.yahoo.com/us/en/yahoo/ip/index.htm
What Is The Punishment For Copyright Act ?
( Copyright Act Ka Ulanghan Karne Par Hone Wali Saja )
Copyright act ka ulanghan karne par usse milne wali saja Mamle ki gambhirta ko dekhte hua hi tay hoti hai. Sabse phle to hamre pas Copyright ka ulnghan karne par hame ek notice aaiye ga es doaran hame Copy ke asli malik se mafi mangni padegi or unke matter ko hamre blog or book me se hatana padega.
Agr hamne kisi ka koi matter copy kiya hai or vo court me siddh ho jata hai to us doran hame Matter ke real malik ko es doran lagne wala pura khrcha dena pad skta hai or sath me malik es doran hua nuksan ki bharpayi bhi krva skta hai.
Mamla agr bhut jyada ghambir ho to Indain Copyright Act , 1957 ke tahat hame Real Malik ka pura niksan or sath me 2 saal ki kadi saja bhi ho skti hai.
What We Do Now ( Ab Ham Kya Kare )
Dosto agr apka koi bhut important content hai to aap usse copyright office me registration krva skte hai. Agr aap lagatar apne blog par nay nay content lekh rhe ho to aap apne blog par Copyright ka ek page banaye or usme visitor ko btaye ki aap hamare content ko kis tarah se use kar skte hai.
Jha tak ho ske hame bhi kisi dusre ke content ko bina writer ki ejjat ke copy nhi karna chahiye. Or agr kisi ne hamara content copy kar liya hai to sbse pahle use es bare me chetavni de.
Dosto apko hamari ye post What is Copyright Act ? In Hindi kaisi lagi hame jarur bateye .
Also Read :
- महिलाओं के सामाजिक अधिकार : 14 Important Women Rights in India
- 18, 20 और 25 के बाद हाइट कैसे बढ़ाएं? लंबाई बढ़ाने के 11 सबसे आसान उपाय
- All Traffic Rules and Fines in Hindi 2019
- Online Jobs For Womens l Blog Writing Jobs From Home l ऑनलाइन घर बैठे पैसे कैसे कमाए
- Online Advertising Kya Hai ? Advertisement In Hindi
- How To Become Rich In India Fast | अमीर कैसे बने ?
- How To Success In Business In Hindi l बिज़नस गाइड इन हिंदी
- होम लोन क्या है ? होम लोन कैसे ले ? होम लोन इंटरेस्ट रेट ? होम लोन के बारे में पूरी जानकारी ?
- रिज्यूम में होने वाली 10 सामान्य गलतियाँ जो हमें मुर्ख साबित करती है
- इंटरव्यू में पूछे जाने वाले सवाल और उनका सही जवाब
- 7 Most Common Interview Mistakes In Hindi
- सरकारी नौकरी पाने का मंत्र क्या है ? सरकारी नौकरी पाने का तरीका क्या है ?
- Bike Car Theft Insurance Claim In India l Car चोरी होने पर Claim कैसे लें ?
- कंपनी से सैलरी न मिले तो क्या करें ? नौकरी के दौरान रुके हुए पैसे कैसे निकलवाए ?
- Facebook Like Badhaye Ke Liye Auto Liker Shi Ya Galt ?
Note : Agr aap chaho to hamari es information ko hamri ejjajt ke bager hamari site ka link dekar ese apne blog par use kar skte hai.
For More Info visit office site of Copyright act www.copyright.gov.in
Chalo ye jankari bhi mil gai.
नमस्कार, मैं स्लोगन,कविता पोस्ट करना चाहती हूँ,कॉपी राईट कैसे करूँ????कविता,स्लोगन से या लेख से कमाई करूँ???कृपया जानकारी दें …
plz contact us on whtasapp 8053124204
Maine ek current affairs ka blog banaya hai, jisme daily newspaper se current affairs dhund dhund k typing krta hun, kya ye copyright hai??? Kya mai copy kr raha hun
nhi ye copyright ke andar nhi aata …
bhai maine ek jokes ka blog banaya hai kya kisi purana jokes jo facebook se copy karke past karne se be copyright haoga ya isme word ki seema hoti hai
Yahi sawal mera bhi hai mitra, aapko jankari ho to reply kare, maine current affairs ka blog banaya hai, usme bhi copyright lg sakta hai kya, kyoki current affairs to daily newspaper se hi taiyar kar raha hun, alag alag newspaper se
Good Evining Sir Ji kese ho aap
good evening bhai acha hu mai aap kaise ho ?
भाई मैंने कुछ कहानियाँ लिखी हैं जिन्हें मैं ब्लॉग पर लिखना चाहता था पर कि मित्र ने मुझे चेतावनी दे दी कि मैंनें जो कहानी ब्लॉग पर डाली है वो कोई भी चुरा सकता है और प्रयोग कर सकता है…. इससे बचने के लिए हमें क्या करना चाहिए और अपनी कहानियों को मैं कैसे अपने नाम से कापीराइट कर सकता हूँ कृपया सरल भाषा में उत्तर दीजिए बड़े भाई
dekhiye copy hone se bachane ke liye kuch pluging hote hai aap unka use kijiye or dusri baat apne har ek article par article under copyright notice daal de….
भाई मैंने कुछ कहानियाँ लिखी हैं जिन्हें मैं ब्लॉग पर लिखना चाहता था पर कि मित्र ने मुझे चेतावनी दे दी कि मैंनें जो कहानी ब्लॉग पर डाली है वो कोई भी चुरा सकता है और प्रयोग कर सकता है…. इससे बचने के लिए हमें क्या करना चाहिए और अपनी कहानियों को मैं कैसे अपने नाम से कापीराइट कर सकता हूँ कृपया सरल भाषा में उत्तर दीजिए बड़े भाई…
Trademark. copyright .Design. Firm Name. I S O . Registration ke leye sampark kare………
Puneet sehgal.cont..08198801500
Yar , Bhai Really Yeh Content Read Karake Maja Aa Gaya . Main Bahut Pahale Se Internet Use Kar Raha Hoon . Lekin Maine Internet Ki Duniya Me Apna Pahala Comment Aapke Blog Par Kiya Hai
thank you very much bhai
Maine Bahout se blog dekha hu Lakin mughe is blog ki Design or post bahot achi lagi Bahout ache se design kia hua blog he har post me kaafi mehnat bhi kie he or Scuare bhi he … Mere simple blog par bhi visit kare https://shortsimpletrick.wordpress.com
also thank you ..
Sir phone lock hone par unlock kaise kre or agar password bhi yaad nhi ho
Phone unlock krne ke liye aap es link pe jaye apko puri Jan kari mil jayegi
http://hindimejane.com/2015/09/android-mobile-me-pattern-lock-ko-kaise.html
Mujhe ye article bahut accha laga.
Aur bahut kuch shikhno ko bhi mila.
…
क्या न्यूज़ पेपर में आने वाले आर्टिकल
या कहानिया। या मैगज़ीन ने आने वाली कहानियों को blogg पर खुद टाइप करके डालने में कॉपीराइट आ सकता है या कोई प्रॉब्लम हो सकती है
Please inform me..
बहुत ही बेहतरीन किस्म का आर्टिकल है। मैं भी इस विषय पर आर्टिकल लिखने की तैयारी कर रहा हूं। पर आपका अाार्टिकल कॉपीराइट से संबधित शिकायत दर्ज कराने और इसे बेहतर ढंग से कानूनी मदत प्रदान कर रहा है। बहुत ही बढि़या। अच्छा काम कर रहे हैं आप।
Thanks Jamsed Ji