What Is Distance Education In India Janiye Hindi Me
Namskar dosto bhut se logo ke man me Distance education ko lekar kafi tarh ke sawal hai or agr hame bhi distance education se koi course kar rhe hai to hame bhi eske bare me puri jankari hona jaruri hai. Main khud ek distance education se study kr rha hu or distance education ke bare me ache se jankari na hone ke karn mujhe bhi kafi presani hui hai dosto mai chahta hu ki jo presani mujhe hui vo apko na ho. Aaj ke time me samay or rupyo ki bachat ke liye bhut se log distance education ka shara le rhe hai. Kya distance education shi hai ? Kya distance education se mili hui degree se hame nokari mil skti hai ? Distance education ke kya fayde hai ? Distance Education hamare liye shi kyo nhi hai ? What Is Distance Education In India ? Agr aap Es tarh ke or bhi bhut se sawalo ke jabab janna chahte ho to yah post apke liye bhut jaruri hai.
What Is Distance Education In India ?
( Distance Education Kya Hai )
Distance Education ko hindi me दूरस्थ शिक्षा kha jata hai. Distance education ko Open learning ke naam se bhi jana jata hai. Es doran student ko school ya college ki tarh kisi special class me training or lecture nhi lena hota. Distance Education me admintion lene ke bad student jha chahe apni study kr skta hai use college me akar class lgane ki jarurt nhi hoti . Distance Education me student apni study books, CD, DVD, Internet or Notes ke dwara krta hai. Jyadatar esme theory ke course hi hote hai or aap teqnical course distance education se nhi kar skte.
Can We Apply Distance Education’s Degree in Gov. Job ?
( Kya Distance education se li hui degree sarkari nokari me manay hai ? )
Kya Distance education se li hui degree sarkari nokari me manay hai ? Dosto yah swal bhut se logo ke man me utah rha hai or eska jbab janna bhi hamre liye jaruri hai. Distance education Degree are legal for gov. job ? eske liye bhut si bate mayne rkhti hai. Sabse pahle to hame ye ache se pta kr lena chahiye ki jis university , college or centre se ham distance education ki study krna chah rhe hai kya vo UCG approved hai ya nhi. Dusari bat hame ye pta hona chahiye ki jo course ham distance education se krna chahte hai kya vo distance education ki list me hai ya nhi.
UGC se approved sabhi tarh ke Distance education ki degree aap Govt. Job me apply kr skte ho. Agr apko aaisa krne se koi rokta hai to aap court me ja skte ho. Lekin bhut se private sector ki company distance education ki degree ko jyada importance nhi deti hai. Sarkari nokari ke liye apki Dist. Edu. Ki degree ek dum shi hai.
Agr apne koi B-tech jiase koi Technical course ki degree Dist. Edu. Se le rkhi hai to bhi apko paresani ho skti hai. Dosto sidhi si bat hai koi bhi course krne se phle uske bare me ache se jan le to hi hamare liye behatar hoga.
Advantage of Distance Education In Hindi
( Distance education se padhai karne ke fayde )
- Save Money : Distance Education ke jitney bhi course hote hai unki fees regular courses ki bajaye kam hoti hai. Or dusra jaise btaya ki apko college me daily janae ki jarurat nhi hai to apke daily up-down ke rupye bhi bachhte hai.
- Study ke Sath Nokari Bhi : Jyadatar vhi log Distance Education ka shara lete hai jo apni job ke sath sath study bhi krna chahte hai. Agr aap bhi chaho to Distance Education ke sath sath apni job bhi kr skte ho bina kisi presani ke.
- Save Time : Distance education ke dwara ham time ki bhut bachat kr skte hai kyuki ab train or bus me kharch hone wala time hamara bach jata hai.
- Jab chaho , Jha chaho Padhai Kro : Distance education ka ye ek bhut achha fayda hai ham jha chahe or jab chahe apni study kr skte. Agr college me hote hai to hame Teacher ka wait krna padta hai or period miss ho gya to study bhi miss ho gyi.
Disadvantage of Distance Education In Hindi
( Distance education se padhai karne ka nuksan )
- Study Complete Na Hoan : Dosto bhut bar ham ye sochate hai abhi to bhut time pda hai aaram se kr lenge study lekin kab hamara time bit jata hai or hamara syllabus ache se complete nhi ho pata lekin regular course ke doran ham daily thoda thoda kar ke apna syllabus complete kr lete hai.
- Puri Knowledge ( नोलेज, ज्ञान ) Na Milna : Distance Education me ham achhe se knowledge nhi mil pati agr hame koi chepter ya koi concept samajh me nhi aata hai to hame kafi presani hoti hai kyuki jis time ghar pe ham study kr rhe hote hai us time hame koi btane wala nhi hota hai. Jabki regular class me ham usi time apne teacher se sawal jabab kr skte hai. Jaisa ki mane khud btaya ki mai khud distance education se study kr rha hu vase jis centre se mai study kr rha hu vha par Sunday ki class lagti hai lekin time na hone ki bajah se mai aaj tak koi bhi class attent nhi paya agr mai class attent krta to sayad mai apne teacher bhut si Knowledge le skta tha.
- Hone wale Paper Or Practical Ki Shi Jankari Na Milna : Bhut bar paper or practical bagera ki date aage piche ho jati jiska hame pta nhi chalta or hamara bhut nuksan ho jata hai. Mera sath bhi aaisa hi hua mere BMC 1nd & 2nd year ke paper hamesa july ke 1st week me hote the es liye maine socha ki BMC 3rd year ke paper bhi July 1st week me hi honge. Lekin 15 may ko mere pas phone aaya ki apke 2 paper ho chuke hai jaldi se apni practicle jama krva dena. Es liye dosto agr aap bhi distance education se apni study kr rhe hai to time to time apne center or university se course ke bare me jankri lete rhe.
- Apni class ke students Se contact Na Hona : Dosto jis center se aap Distance Education ki study kr rhe ho vha or aap jaise or bhi bhut se students study kr rhe hote hai lekin hame unki jankri nhi hoti. Agr ham regular study kr rhe hai to hame apne sabhi class student ki jankari hoti hai or jab bhi hame koi shayta chahiye ham unse le skte hai lekin Distance Education me aisa nhi hai.
- Sabhi Notes Or Books Na Milna : Dosto vase to aaj ke time me internet par sabhi books or notes mil jate hai bus hame search krne ki aavsykta hai lekin bhut se log aaise bhi hai jinko internet ache se uplabadh nhi ho pata. Kafi bar aaisa bhi hota hai ki jo jankari ham chahte hai vo nhi milti balki use related mil jati hai yani ki incomplete knowledge. Agr ham regular study kr rhe ho to ham aasani se apne frnds or teacher se book or notes le skte hai.
List of Approved Distance Education Course in India
Approved Distance Education Courses ki adhik jankari pane ke liye aap es link ko follow kr skte hai
List of Approved Distance Education University and College in India
Approved Distance Education University and College ki adhik jankari pane ke liye aap es link ko follow kr skte hai Kaise Pta Kare Ki University UGC Approved Hai Ya Nhi ?
Must Read :
- महिलाओं के सामाजिक अधिकार : 14 Important Women Rights in India
- 18, 20 और 25 के बाद हाइट कैसे बढ़ाएं? लंबाई बढ़ाने के 11 सबसे आसान उपाय
- All Traffic Rules and Fines in Hindi 2019
- Online Jobs For Womens l Blog Writing Jobs From Home l ऑनलाइन घर बैठे पैसे कैसे कमाए
- Online Advertising Kya Hai ? Advertisement In Hindi
- How To Become Rich In India Fast | अमीर कैसे बने ?
- How To Success In Business In Hindi l बिज़नस गाइड इन हिंदी
- होम लोन क्या है ? होम लोन कैसे ले ? होम लोन इंटरेस्ट रेट ? होम लोन के बारे में पूरी जानकारी ?
- रिज्यूम में होने वाली 10 सामान्य गलतियाँ जो हमें मुर्ख साबित करती है
- इंटरव्यू में पूछे जाने वाले सवाल और उनका सही जवाब
- 7 Most Common Interview Mistakes In Hindi
- सरकारी नौकरी पाने का मंत्र क्या है ? सरकारी नौकरी पाने का तरीका क्या है ?
- Bike Car Theft Insurance Claim In India l Car चोरी होने पर Claim कैसे लें ?
- कंपनी से सैलरी न मिले तो क्या करें ? नौकरी के दौरान रुके हुए पैसे कैसे निकलवाए ?
- Facebook Like Badhaye Ke Liye Auto Liker Shi Ya Galt ?
Dosto apko hamari ye jankari What Is Distance Education In India in Hindi ? kaisi lagi hame comment box me jarur btaye or agr aap koi or bhi jankari chahte ho to hame btaye.
Sar kya distance se pg karne ke badd regular se study kr sakte hai
yes kar skte hai koi dikkt nhi hai
Sir me bsc 6th sem kar chuka hu lekin meri 5th or 6th sem me atkt hai ab me distance se form bharna chahta hu kya bhar sakta hu
Sir distance education me internal assesment ka kya chakar hai agar classes nhi lgai to internal assessment nhi lagti
dekhiye ye to jis center se aap study kr rhe hai us pe depend krta hai ki vo marks lgate hai ya nhi
Sir, Mai B.A private kar rha hu subject education, sociology , political science hai
kya ise SSC ke exam mai lga skte hai.
PLEASE Guide me sir.
University UGC se approved hai..
ha koi dikkat nhi hai isme
Kya distance education aur correspondence education Mai koi difference hai?
Distance education mein graduation mein first year k baad agr ek saal ka gap ho jaye to degree second year se shuru kr skte hai…??
kya mca distrnce se kr skte he
sorry sir eske bare me hame nhi pta
Apke article se mera ek doubt clear ho gaya hai …ki distance education se pehle hume university UCG approved hai ya nahi dekh lena chaiye taki furute me koi problem na hon..
Thanks for sharing this great information.
Also Thanks for Sharing You Exeprince
nice article.
Thanks for sharing this information
Thanks for this useful information.