How To Manage Marriage Function In Hindi
Namskar dosto Agr aap chahte ho ki apki sadi achi se safal ho to hamari Sadi Ko Safal Banne ke liye 5 Jaruri Bate jarur padhe ( How to manage marriage event). Sadi me ham sabhi bhut khusiya manate hai. Es doran sabhi Ristedaro se hamari mulakat hoti hai, Sadi me ham khul ke nachte hai or khub sari masti karte hai.
Es doran koi bhi nahi chahta ki sadi me kisi bhi tarah ki koi paresani ho, kisi chiz ki kam ho or ham nahi chahte ki es doran koi ham se naraj ho. Apki sadi ko safal banana me ye post apke liye kafi faydemand sabit ho sakti hai. To aaiye dosto jante hai Sadi Ko Safal Banne ke liye 5 Jaruri Bate kon si hai.
Sadi Ko Safal Banne ke liye 5 Jaruri Bate
- Sabse Pahle Apna Bazat Nirdhari Kare.
Dosto sadi ke doran sabse phle to hame yahi dekhna hota hai ki ham apni sadi me kitna kharch kr skte hai or apna bazat kitna hai. Agr aap sadi ke liye pahle se hi apna bazat nirdhar kar ke chalet ho to ye apke liye abhut hi achhi bat hai kyuki agr hame apne bazat ke bare me pta hoga to ham usi ke anusar hi dress, halwai, tent or sadi se judi hi har ek chiz bazat ke anusar hi lenge. Sadi ke doran jab bhi aap koi service book kar rhe ho ya fir koi saman khrid rhe ho to ek bar apne bazat ki taraf jarur dekh le khi aaisa na ho ki aap logo ke kahe anusar mahnagi chiz khrid lo or bad me apko rupyo ki kafi dikkat ho. Or agr ho ske to apka jitna bazat hai uska 15 % extra money apna pas sambhal kar jarur rkahe taki jarurat padne par apko koi paresani na ho.
- Relative or Friends ko ache se invitation dena.
Dosto sadi me ham sab se ek badi bhul yahi hoti hai ki ham kafi bar apne sabse najdiki ristedar ya dosat ko apni sadi me invite karna hi bhul jate hai jiske karn hame kafi sarmindagi mahsus hoti hai. Aap sadi me sarmindagi mahsus na kare es liye aap sadi se karib 5 -7 din pahale hi aap un sabhi logo ki ache se list bna le jinhe aap invite karna chahte hai. Aap jo list bna rhe hai use aap apne gahr walo ke sath bhi share kar skte hai or unse bhi ache se puch le koi es list me rah to nhi gya hai. Aap bhi es list ko kam 2-3 bar dekh or syant man se soche ki koi rha to nhi gya es list me.
- Halwai, Tent, Marriage Hall ki Advance booking
Ham Bhut bar sochate hai ki ye kam to kar lenge aaram se. Lekin yahi kam apke liye problem bna skte hai. Dosto Halwai, Tent, Marriage Hall,D.J, Pandit etiyadi ki booking apko jitna jaldi ho ske untni jaldi kar leni chahiye kyoki jis din apki sadi hai us din or bhi kafi sadiya ho skti hai or aaisa na ho ki apka manpasnd DJ kisi or ne book kar liya ho. Competition jyada hone par har chiz ke rate bad jate hai yah to apko pta hi hai es liye jitna jaldi ho skte en sabhi ki advance booking karva le.
- Baratiyo ki dekhbhal ke liye samajdhar 2 vyaktiyo ki jimmewari lgaye.
Agr aap ladke wale ho to sadi wale din baratiyo ki dekhbhal ke liye ek 2 samajdhar or jimmedar vyakti ki duty lgaye. Taki vha par kisi bhi barati ko koi dikkat na aaye or koi bhi barati koi galat harkat na kare kyuki sadi me baratiyo ki wajh se bhi bhut jyada ladai jhagde hote hai.
Agr aap ladki walo ki tarah se hai to aap bhi yhi kam kare or sath me jha par barat tharne wali hai vha bhi unke chay-pani ki vayvstha ache se advance me kar ke rkhe.
- Halwai or Reception Ki Ache Se Arrangement
Dosto sadi me agr khana or uski ache se management na ho to sadi ka sara maza kirkra ho jata hai. Sadi me aap jis bhi halwai ko book kar rhe ho pahle uske bare me ache se pta kar le uske rate or service ke bare me. Agr apka bazat acha hai to aap tent, waiter or halwai ka sara kam thek par de de or sath me 1-2 apne personal vaykatiyo ki duty lagaye in sabhi logo ki nigrani rakhne ke liye.
- Yha article bhi jarur padhe Sadi Me In 7 Tariko Se Bachaye Apne Rupye.
-
आधार शादी कार्ड – बेटी सुरक्षा व नारी सम्मान की सोच को विकसित करती हुई एक अनूठी पहल
To dosto apko hamari Sadi Ko Safal Banne ke liye 10 Jaruri Bate kaisi lagi hame jarur nateye or sadi ko or bhi ache se manage karne ke liye apke pas bhi koi tips hai to hamare reader ke sath jarur share kare.
Also Read :
- महिलाओं के सामाजिक अधिकार : 14 Important Women Rights in India
- 18, 20 और 25 के बाद हाइट कैसे बढ़ाएं? लंबाई बढ़ाने के 11 सबसे आसान उपाय
- All Traffic Rules and Fines in Hindi 2019
- Online Jobs For Womens l Blog Writing Jobs From Home l ऑनलाइन घर बैठे पैसे कैसे कमाए
- Online Advertising Kya Hai ? Advertisement In Hindi
- How To Become Rich In India Fast | अमीर कैसे बने ?
- How To Success In Business In Hindi l बिज़नस गाइड इन हिंदी
- होम लोन क्या है ? होम लोन कैसे ले ? होम लोन इंटरेस्ट रेट ? होम लोन के बारे में पूरी जानकारी ?
- रिज्यूम में होने वाली 10 सामान्य गलतियाँ जो हमें मुर्ख साबित करती है
- इंटरव्यू में पूछे जाने वाले सवाल और उनका सही जवाब
- 7 Most Common Interview Mistakes In Hindi
- सरकारी नौकरी पाने का मंत्र क्या है ? सरकारी नौकरी पाने का तरीका क्या है ?
- Bike Car Theft Insurance Claim In India l Car चोरी होने पर Claim कैसे लें ?
- कंपनी से सैलरी न मिले तो क्या करें ? नौकरी के दौरान रुके हुए पैसे कैसे निकलवाए ?
- Facebook Like Badhaye Ke Liye Auto Liker Shi Ya Galt ?
दोस्तो एक पोस्ट को तैयार करने मे काफ़ी मेहनत करनी पड़ती है. आपका एक कॉमेंट और एक लाइक हमे आपको और भी नयी जानकारी देने मे काफ़ी प्रोत्साहित करता है
शादी को सफल बनाने के 5 उपाय नामक लेख में अच्छे उपाय बताए हैं आपने। यह उन लोगों के बहुत काम आ सकते हैं जिनकी शादी में प्राब्लम चल रही है।
comment kar ke hamara honsala badhane ke liye dhanywad apka.